Saturday, December 22, 2007

Aaqhir matlab kya hain is tarah ki patrakaarita ka?

Aaqhir matlab kya hain is tarah ki patrakaarita ka?
allahabad,22 dec.07,
Ye haqiqat hain ki Khabaron ki duniya main anewaalon ki ek badi tadad aise logon ki hoti hain jinka khud ka koi wazood nahin hota, tiwari ji IAS bante- bante Chaprasi tak utar aaye, aur jab wo bhi na hua to patrakar ban baithe....mr.x ne kahin se camera jugada aur photojournalist ban gaye...
Jyadatar ki ye khabarnawisi GIRI tak pahuchane ki daastaan kuch u hi hoti hain...
Ab bechari patrakarita khoon ke aansu na roye to kya kare...
masla ye hain ki ..
zameen par chalane ka Jinnhe shaoor nahin
unnhin ka taqaza hain ki sara Aasman le lo...
Aise mai agar loktantra main tantra lok ki Hatya kar de to karne deejiye,
jantantra ke rakshak hi jan ka Balatkaar karen...karne deejiye,
kyaoki...is tarah ki baaten tabhi khabar hai jab wo un tathakathit patrakaaron ke samagh mai aaye ya usme koi jugad ki sambhawana ho,
hota ye hain ki is tarah se patrakar bane logon ke paas reedh ki haddi nahin hoti na hi apne koi vichar...unke bas ek adad tond hoti hai jise bharne ke liye maheenwari moti rakam chahiye, yahin se shuru hota hain silsila...khabaron ke dam todne ka...kabhi Malik dabav dalta hain to kabi unche ohde, kabi samagh main nahin aata to kabhi Dosti aade aa jati hain kul mila ke hindustan ki soi janta tak ye shargoshi bhi nahi pahuch pati ki Bhai Tumhari Gand Maari ja rahi hain thoda jaldi jago nahin to itni jyada phat jayegi ki jodana to door marham bhi na laga sakoge .
Qhair kaaphi sochane ke baad bhi mughe ye naihn samagh mai aata ki matlab kya hain is tarah ki patrakaarita ka? jo aisa kar rahen hain unse to koinm ummeed karna bemaani hogi magar AAP TO JIMMEDAAR HAIN NA?
phir kyun GUHATI ki ghatna par koi saarthak bahes nahin hui...? kyun Nandigram ko tawe ki tarah istemaal karne waalon ke khilaaf elan e jang nahin kiya gaya? Kyun Shehraabuddin ko Sapedposon ka bramhaastra bana diya gaya? kyun ..kyun ..kyun...
aise hazaaron kyun hain jo apne jawab ke liye hamari oor Ungali utaye hue hain...
9335136250.

1 comment:

Unknown said...

Kisi punjabi kavi ki wahi laaine is blog me bhi jode de raha hun jo shayad patrkaron ko dhyan me rah kar hi likhi gayi thi...
" Mulla te mashalchi dowo ekke chitt.... Loka kar den chandna aap andhere wichh"
baat yahin khatm nahi hoti kyonki maine padha sabko hai aur jawab behad chhoda hai... lekin meri majboori(wahi jiske baare me deepak bhai ne bataya tha.... bawana me murder hai aur chat dene ke liye assignment bula raha hai )to waada wapas aane ka.--- Aapki baithki ka sathi.