Saturday, July 5, 2008

"DHARM PAR RAJNEETI", BUS KARO.......!

Haal hi mein hui dharm k naam par rajniti ne sab ko jhakjhor kar rakh diya hain...! Amarnath shrine board ki jameen mamle ko lekar poore bharat ki shanti aur aman chain ko bigadne ki koshish ki gayi hain...bhagwa brigade ne apni narangi chole ki aad mein jo kuch bhi karwaya hain gaya kya wah rajniti k maidan mein sahi hain ya phir galat..yahan to Indore mein hui ghatna ne sab kuch baya kar diya hain...VHP aur BJP k bharat band k dauran jo kuch bhi hua woh har kisi ne dekha..Dharm k naam par chichori rajneeti karne walo ne yah bhi nahi socha ki ankhir iska niskarsh kya niklega..! Ankhirkaar dharm ko bhi poori tarah se sankat mein daal diya gaya..Ab shayad aane wale aagami Lok Sabha ki dastak ne poori partio ko shayad Amarnath ki jammen se badhiya mudda koi nahi diya..! Tabhi to dharm ko mudda banakar yeh Rajneta apni fasal katne mein lage hue hain..! Satta k galiyaro se apni chunavi mohare fit karne mein lage yeh rajnetao ne yah bhi nahi socha ki ankhir ya kahin Hindutva k naam par galat to nahi ho raha..! Apne naye-naye hatkando ko apnakar sabhi partia apni rotia sekne mein lagi hain...! Lekin kya yeh sahi hain ki "Dharm" ko apna mudda banakar poore desh k aman chain ko cheena jaye..? Lekin sawal yahan uttha hain ki poore desh mein jo kuch hua, kya woh sahi tha.....? Har koi yahi keh raha hain ki....Bus Karo.................!

3 comments:

Som said...

Dear Friend, i share same concerned. Gandhiji was always against the mixture of religion and politics, meanwhile, the birth of Communalism doctrine has popularise it. Now, it's part of our public life with the emergence of BJP.

Deepak Gambhir said...
This comment has been removed by the author.
Unknown said...

Chalo ab maine maan liya ki tum bhi Netagiri Shuru karne Wale ho....